Salam Fbians...
Jesa k sab jantay hain k hamari society main Aisay buhat se log hain jo Apni Cast ko buhat Aala samajhtay hain Aur dosri Cast main ussi tarah uthtay bethtay hain jesay non muslims main uthtay bethtay hain.....Per jahan cast ki baat aa jaye tu Musalmaan Musalmaan ki apas main Behas ho jati hai Baaz ooqat baat qatal tak pohach jati hai...
Question mera Yeh hai k Aap log kia Samajay hain Iss Cast/Baradri System k baaray main???
Meri tamam Fbians se guzarish hai k plzzz apni Raay... Read Full Story
Wo Din suhanay kitnay thay
Jab chotay chotay sapnay thay
Raaton main pariyun ka aana
Saath apnay mujh ko lay jana
Wo Urna Asmaano main
Wo jhoomna thundi fizaaon main
Wo roothna chooti baaton per
Aur mann jana bahanon main
Wo chand ko chanda Mama kehna
Aur us se khoob shikayat karna
Jab khud ko akelay pana tu
Kuch Geet Khushi k gaa lena
Wo din buhat suhanay thay
Per din wo sab beet chukay
Ab mehfil main tanhaaee hai
Ab chanda Mama rootha hai
K ham ne ik harjaee ko
Ghalti se chand jo keh daala
... Read Full Story
:aoa:
Kia haal hain sab ke?
Sab se pehle sab ko bohat bohat Eid Mubarak :)
Eid ki khushiyon main mazeed izafa karte hue aaj winner ka naam announce karne ja rahi hoon
The Winner is
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
*Aamir Bhai*
Winner ko Award and 50 posts di jayengi baaqi sab participants ko 25 posts :)
Muqabla neck to neck raha main sab participants and voters ko shukriya kehna chahhoongi aap sab k saath ki waja... Read Full Story
Jis per ki tum ne baat kahi
Wo per buhat hi soona tha
Jab khizan ka mausam aaya tha
Na koi musafir aata tha
Na koi churiya gati thi
Na koi Sawan aata tha
Ik chilchilati dhoop thi
Na koi paas saaya tha
tab ham ne khizan k patto ko
Iss per se Chuna tha
K Phir bahar ka mausam aaye ga
tab Panchi geet sunaaye gay
Phir se sawan aaye ga
Raaton main jugno chamkay gay
Falak pe sitaro ki tarah
Ik shaakh pe chakoor chanda ko
Raato ko jaag k dekhay ga
Tab ham ne wafa ki thi tum se
Din raat tumharay paas... Read Full Story
Jab bahar ka Mausam aaye ga
Aur phool khilain gay gulshan main
Ik phool jo tum ne toora tha
Us jesa tum na paao gay
tab Yaad Wo khushbo aaye gi
Us khushbo sa tum na Paao gay
Sawan k Maheenay main Badal
Jab Cham cham kar k Barsay ga
Aur Ro ro kar Badal tum ko
Pheghaam koi day jaye ga....
Tab yaad wo Aankhain Aayein gi
Un aankho sa tum na Paao gay....
Jab dost koi keh kar tum ko
Ik Aas kahiin day jaaye ga
Ya khawab koi day kar tum se
Jab door kabhi ho jaaye ga....
Tab yaad wo manzar aaye ga..... Read Full Story